Aaj in sadko pe, maine kuch dekha hai
kuch aansu, kuch sapne, kuch hasi, kuch gham
Aur kahi kahi par ek lakshman rekha hai...
Woh lambi kataarein, woh gaadiya, woh imaaratein
Woh boodhe, woh bacche,
Aasra chahte hai, kuch pal ke liye,
Kuch pal ke liye tumhaara saath chahte hai,
Wohi pe dikhti hai inki sharaaratein...
Koi kahi se maare,paan ki pichkaari,
kabhi peeche pade koi bebas bhikari
In chhipe nazaaron ko har koi dekhta hai,
Aur har koi,har roz, ise apne dil se nikaal fekta hai...
Samay kat jaata hai mera,mann karta hai inhe dekhta hi jaau
Par kya kare kambakht, shayad apni manzil na pahunch pau
Khair, koi baat nahi,main fir kal savere nikloonga,
Shehar ki in sadko se kal fir kuch seekh loonga...
good one there :)
ReplyDeleteThanks dost... somehow it doesn't feel strange rhyming in another language...
ReplyDelete