Monday, July 15, 2013

Chingaari un sholo ki...

Hamesha basanti ke saath hi aisa Kyu hota hai,
Kahi pe viru rota hai, kahi jai sota hai
kabhi Gabbar hasta hai, wahi thakur fasta hai
Wahi ramgarh hai, wahi dhanno hai, wahi Rasta hai
Jaha jaane jaaye, maano thode saste hai
Kaalia aur saambha, tab marte hai jab haste hai
Inaam ka khel, do haatho ka Mel
Holi ka rang, ek puraani rail....
Radha ki hasi,fir woh khoon ka kehar
Woh harmonium ki dhun, ek anokhi lehar
Chacha ka andhera, mausi ka basera
Woh tanki pe chadna, us Raat ka sawera....
Woh jailor ke mooch, woh scooter ka gaana
Woh sikka, jise har baar sach hai batana
Woh Sholay, woh angaarey, kya cheez thi janaab
Na kabhi bana tha, na banega, iska koi jawaab....