Friday, February 17, 2012

Ye Raat...

Ye raat, abhi bahut kuch kehti hai,
main samajh nahi paa raha bas, yehi adchan hai...
Iski kuch paheliya suljhane mein mast hokar
Maine dekha, isme khudko, ye darpan hai

Aur kya dekha maine, ye mann bhi
mera, in taaron ki tarah, timtimata hai...
Na jaane ye kitni door hai, phir bhi
kitni roshni hai, kya muskurata hai...

Faila aasman mein kaala andhera. Par fir bhi
Ujala hai, ik chaand se, aadha hi sahi
Ye iccha hai, drid nischay hai, aur maine bhi
Pehchaana khoob ise, mann ke andhero mein kahi

Woh door kahi ek lakeer se kheecha hai,
Upar waale ne, waha se din nikalta hai
Ab hoga woh din ka ujala, bas kuch pal aur
Mujhe haske ye raat bhi bitani hai...

No comments:

Post a Comment