Monday, April 13, 2020

Kudrat ka khel

In khuli hawaon se poochho
Kya parde khol diye kudrat ne
Aasmaan saaf kyu itna, poochho
Kya dard-e-sazaa bhula diye kudrat ne

Kyu gaa rahe hai pannchhi
Kya insaan ghum kahi ho gaya?
Kyu patton pe dhool nahi tikti
Kya sansaar naya koi bas gaya?

Kyu raaste sunsaan, itne akele
Inpar sher bhi sawaar hone lage hai
Jahan kabhi lagte the mele
Un maidaano par paude ugne lage hai

Dharti maa se kya insaan
Itni berahmi se pesh aata tha?
Ki aaj is maa ki khushi ke peeche
Woh aansu kabhi dekh nahi pata tha

Kab tak, tum kab tak ae insaan, do jawaab;
Insaaniyat ke naam par parde laga paoge
Kudrat ka anokha khel toh dekho janaab
Aaj tumhaari "aazaadi" ki tum kya keemat chukaoge