Saturday, July 30, 2016

Hindi

Woh sannatta, woh sadake,
Woh baarish ki boonde
Woh hawa jo halka se has de
Jab mann mein koi shola hai bhadke

Woh sisakti zindagi, lambi si raat
Woh sapno adhure, haathi ke daant
Har zarre ne jab tha haske pukara
Woki puraane din, jab main tha sabka dulara

Khoyi rahi kisi chadar mein,
Chhupa sa, daba sa, purana dard tha
Bas rakh diya mann ki almaari mein
Ruk gaye kisi din, bas, aur mausam sard tha...

Jee rahe hai, zinda hai, alag kya hai?
Saanse ruki nahi, ab tak, alag kya hai?
Ki phir ek subah ho is raat ki, intezaar hai
Kambakht dil bhi maane na, ki ye sab bekaar hai...